haram mein muddaton dhunda shiwalon mein phira barson talash-e-yar mein bhatka kiya main bar-ha barson mahinon hath jode ki khushamad bar-ha barson inhen jhagdon mein mujh ko ho gae ai bewafa barson maaz-allah is aazurdagi ka kya thikana hai jo puchha yar se kab tak na bologe kaha barson ghanimat jaan jo din zindagi ke aish mein guzren kisi ka bhi nahin rahta zamana ek sa barson wahi khun-e-shahid-e-naz ab barbaad hota hai raha ban kar jo tere hath mein rang-e-hina barson hamari be-qarari ka zara tum ko na dhyan aaya mahinon muntazir rakkha dikhaya rasta barson zamane mein hamesha har mahine chand hota hai tera jalwa nazar aata nahin ai mah-laqa barson wahin par le chali be-tabi-e-dil wah-ri qismat phira ki sar patakti jis jagah meri dua barson ada ho shukr kyun-kar be-kasi o na-umidi ka rahi hain sath furqat mein yahi do aashna barson na aaya ek din bhi wo but-e-be-rahm ai 'jauhar' utha kar hath kabe ki taraf mangi dua barson