kal tak us ki wo mehrbani thi aaj dekha to sargirani thi kiya ghamgin us ne hum ko nit jis ke milne ki shadmani thi go ba-zahir wo ghair se tha do-chaar hum se bhi dosti nibhani thi jal-bujhe tab khula patangon par shama aur dosti zabani thi aa gaya rahm us ke dil mein aah hum ne yun apni marg thani thi so gaya sunte hi wo gham ki mere sarguzisht us ke tain kahani thi na 'jahandar' jaane tha ai 'mir' dosti muddai-e-jaani thi