hare shajar na sahi khushk ghas rahne do zamin ke jism pe koi libas rahne do main zindagi ki kadi dhup mein akela hun fareb-e-abr mere aas-pas rahne do aziyyaten hi mohabbat ki ruh hoti hain mere wajud mein itni si aas rahne do koi kiran meri ummid ki nahin baqi mere khayalon mein taswir-e-yas rahne do hamari pyas kabhi to koi bujhaega larazte hathon mein khali gilas rahne do main ek gulshan-e-be-rang hun khuda ke liye meri faza mein umidon ki bas rahne do