na koi din hota hai na koi zat hoti hai mohabbat karne walon ki nirali baat hoti hai bisat-e-zist par hum chaal chalte hain qarine se zara si chuk ho jae to bazi mat hoti hai hiqarat ki nazar se dekhte hain log mahfil mein gharibon ki bhala duniya mein kya auqat hoti hai buzurgon ki duaen hain jo sar jhukne nahin detin khushi aur gham wagarna kis ke bas ki baat hoti hai aur un se ye muamma aaj tak hal ho nahin paya ki din aata hai pahle ya ki pahle raat hoti hai kisi ne sach kaha hai ek tamasha-gah hai duniya khilaunon ki magar chabi khuda ke hat hoti hai khizan ka daur ho ya wo bahaaron ka zamana ho koi mausam ho ai 'gulshan' hamari baat hoti hai