KHayal-o-KHwab ke paikar badalte rahte hain

khayal-o-khwab ke paikar badalte rahte hain
dil aaina ho to manzar badalte rahte hain

hamare haal se mat kar qayas-e-nakaami
ki sar-phiron ke muqaddar badalte rahte hain

ulajh na jae kahin baam-o-dar mein rishta-e-zist
is ehtimal se hum ghar badalte rahte hain

har iltifat hai taza jarahaton ki nawid
ki chaaragar mere nashtar badalte rahte hain

bhala yaqin ko mayassar hai kab guman se najat
ki sahilon ko samundar badalte rahte hain

asas-e-mehr-o-mohabbat nahin badalti kabhi
agarche log barabar badalte rahte hain

wahi hai aaj jo kal thi saza-e-haq-goi
sutun-e-dar pe han sar badalte rahte hain

mere watan ki bahut mukhtasar si hai tarikh
sitam wahi hai sitamgar badalte rahte hain

wahi hai jalwa-e-jaanana dair ho ki haram
sharab ek hai saghar badalte rahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close