marhala ab ke digar hai aaine ke samne

marhala ab ke digar hai aaine ke samne
mo'tabar na-mo'tabar hai aaine ke samne

aaj shayad aaine ka jhut pakda jaega
aaj wo sahab-nazar hai aaine ke samne

dhund mein dube hoe sare manazir dekh kar
aaine ki aankh tar hai aaine ke samne

jhurriyan chehre ki ye bachpan ki wo masumiyat
ek lamhe ka safar hai aaine ke samne

har nafas be-chehragi ka karb kab tak jhelta
ab nai samt-e-safar hai aaine ke samne

kaun hai jo apne chehre se nahin darta 'nadim'
kaun be-khauf-o-khatar hai aaine ke samne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close