harim-e-dil ki taraf mah-rukhan nikal aae hazaron chand sar-e-asman nikal aae hawaen bharne lagin khushbuon ke paimane jo chand phul sar-e-shakh-e-jaan nikal aae ye khas baat mili ishq-zad-gan mein hamein koi bhi zikr ho zikr-e-butan nikal aae na wo zamin na wo aasman na wo shab-o-roz khayal-e-yar hum aakhir kahan nikal aae kabhi kabhi gul-o-bulbul ki guftugu bhi suno ajab nahin koi tarz-e-bayan nikal aae kuredi jae jo khak-e-dayar-e-dil-zadgan nawadiraat ka ganj-e-garan nikal aae bhatak rahi hai udasi hamari shahr-ba-shahr kahin to kucha-e-zinda-dilan nikal aae dhadak raha tha jo sine ki wusaton mein kahin us ek zarre mein kitne jahan nikal aae suna raha tha main diwar-o-dar ko apni ghazal magar wahan to kai nukta-dan nikal aae khayal zehn se kuchh is tarah nikalta hai bujhe charagh se jaise dhuan nikal aae daba sake na tajassus ki aag hum 'yawar' suna pados mein shor-e-fughan nikal aae