justuju meri kahin thi aur main bhatka kahin mil gai manzil mujhe to kho gaya rasta kahin puchhta rahta hun khud se kya use dekha kahin aaine ke zawiyon mein kho gaya chehra kahin mujh ko mat roko ki main itna thakan se chur hun phir thahar hi jaunga main ab agar thahra kahin muddaton ke baad phir nam ho gain aankhen meri phir mere ehsas ke patthar mein dil dhadka kahin tut kar chaha tujhe lekin ye hasrat rah gai tujh se dil ki baat kahte tu agar milta kahin main kisi surat nikal aaya hun apni zat se dar raha hun mil na jae phir wahi duniya kahin ek hi raftar se kashti ko mat khena yahan waqt ka dariya kahin uthla hai to gahra kahin kyun dilasa de rahe ho muntashir karne ke baad tut kar phir shakh se judta hai ek patta kahin