hazar haif chhuta sath ham-nashinon ka makan to hai pe thikana nahin makinon ka khila jo bagh mein ghuncha sitara-dar khila gulon ne naqsh utara hai mah-jabinon ka hai apni apni tabiat pe husn-e-shai mauquf main kyun hun banda-e-be-dam un hasinon ka nazar ka kya hai bharosa nazar pe hain parde khayal arsh pe jata hai dur-binon ka zamin-e-shor ho ya ho zamin-e-sher ai dil nahin hai koi kharidar in zaminon ka bahisht-e-dahr hai apna watan khuda ki qasam juda juda hai tarana sabhi mahinon ka kisi ko man liya dil ne jab to man liya na dakhl do yahi maslak hai khush-yaqinon ka jo ho musawwir-e-fitrat misal kya us ki guman na chahiye insan pe aabginon ka zara nikal ke to duniya se dekh ai insan pata na din ka na andaz hai mahinon ka sikha diya mujhe bach bach ke rasta chalna khuda bhala kare ai 'shad' nukta-chinon ka