hum mutmain hain us ki raza ke baghair bhi har kaam chal raha hai khuda ke baghair bhi lipti hui hai jism se zanjir-e-maslahat be-dast-o-pa hain log saza ke baghair bhi ek karobar-e-shauq hi aisa hai jis mein ab chalta hai kaam makr-o-riya ke baghair bhi ek lamha apne-ap ko yakja na kar sake hum muntashir hain sail-e-bala ke baghair bhi ek chup si lag gai thi mujhe us ke ru-ba-ru main sar-nigun khada tha khata ke baghair bhi