harif koi nahin dusra bada mera sada mujhi se raha hai muqabla mera mere badan pe zamanon ki zang hai lekin main kaise dekhun shikasta hai aaina mera mere khilaf zamana bhi hai zamin bhi hai munafiqat ke mahazon pe morcha mera main kashtiyon ko jalane se khauf khata nahin zamana dekh chuka hai ye hausla mera mere sawal se har shakhs ko malal hua pe hal kiya na kisi ne bhi masala mera