jaise subh ko suraj nikle sham dhale chhup jae hai tum bhi musafir main bhi musafir duniya ek sarae hai raaz-e-khudi hai ye farzano behtar hai ye raaz na jaano jo khud ko pahchane hai wo diwana kahlae hai fahm-o-khirad se josh-e-junun tak har manzil se guzre hain hum to diwane hain bhai hum ko kya samjhae hai hijr ki shab yun thapak thapak kar mujh ko sulae teri yaad jaise man ki lori sun kar ek bachcha so jae hai jab se tum ne aankhen pherin sab ne hi munh pher liya hae shab-e-hijran kya kahiye shabnam aag lagae hai koi mujh se mujhe mila de mujh ko hai apni hi talash basti basti ye diwana kaisa shor machae hai jis ne sab ke gham bante hain hum wo diwane hain 'shafiq' ye wo daur hai jis mein har ek apni aag bujhae hai