harim-e-dil, ki sar-ba-sar jo raushni se bhar gaya kise khabar, main kin diyon ki rah se guzar gaya ghubar-e-shahr mein use na dhund jo khizan ki shab hawa ki rah se mila, hawa ki rah par gaya tere nawah mein raha magar miyan-e-din-o-dil gajar baja to ji utha, suni azan to mar gaya safed pattharon ke ghar, gharon mein tirgi ke gham hazar gham ka ek ye ki tu bhi be-khabar gaya nagar hain aaftab ke, barahana gumbadon ke sar saron pe nur ke kalas, main nur mein utar gaya