hum aae jab to bujha kar charagh-e-dar aae ki aur koi na tanhaiyon ke ghar aae ubhaarne ke liye naqsh kuza-gar aae to khud hi ud ke meri khak-e-chaak par aae jahan-jahan bhi andheron ki hukmrani thi charagh-e-naqsh-e-qadam hum jala ke dhar aae faza-e-dasht se manus ho gaya mera dil agarche samne hir-phir ke baam-o-dar aae na bastiyan thin na wo baam-o-dar na wo chehre hamare qafile jis waqt laut kar aae ye rishta sang-o-samar ka bahut purana hai chale hain sang bhi jab shakh par samar aae nigah kham jo hui dil jo khak-e-rah hua mere qarib kai log mo'atabar aae kabhi to mauj-e-sukhan mehrban ho mere liye kabhi to hath koi dana-e-guhar aae ye dasht kyon nahin deta koi jawab mujhe ye kya ki bas meri aawaz laut kar aae ajab hai adl ka mear us ki basti mein khirad gunah kare aur junun ke sar aae jab us ke aane ki ummid hi nahin 'yawar' ab is se kya mujhe sham aae ya sahar aae