harim-e-dil se rah-e-chashm-e-tar se guzre hain hazar bar wo is rahguzar se guzre hain wo jin ko dekh ke lutf-e-hayat milta hai kuchh aise dushman-e-jaan bhi nazar se guzre hain ye itr-bar fazaen ye pur-ziya jade bata rahe hain abhi wo idhar se guzre hain jo zindagi ko khud apne se bad-guman kar den wo hadse bhi hamari nazar se guzre hain jo teri yaad ki daulat se be-nasib rahe wo lamhe zist ke na-mo'tabar se guzre hain jamal-e-dost bhi mushtaq-e-yak-nazar hai jahan hum us bulandi-e-zauq-e-nazar se guzre hain tumhein to hogi khabar sakinan-e-dair-o-haram suna hai hazrat-e-'maikash' idhar se guzre hain