muskurahaten sikhen qahr ki nigahon se dad-e-sarkashi le li hum ne kaj-kulahon se kya kahen mohabbat ka raaz kam-nigahon se hum ne dil banae hain aansuon se aahon se apni marifat ka hum ek din sabaq denge dekhte chale jao ajnabi nigahon se us ke haq ka mujrim hun phir bhi us ki rahmat hai khud bacha liya mujh ko mubtazil gunahon se farsh par hai takht un ka arsh par dimagh apna kya faqir rahte hain dab ke baadshahon se sare masale hal hain maslak-e-mohabbat mein un ki rah milti hai be-shumar rahon se 'najm' ye nishani hai ahl-e-dil ki duniya mein hum ko khas nisbat hai gham ki bargahon se