haris ho na jahan mein na apna ji bhatka zaban bigad gai gar us ko aa gaya chatka jo shahrah gaya kuchh nahin hua khatka bhatak raha hai musafir hua jo oghat ka qaba pahante jo barham hua wo chust-qaba diya hai chin-e-jabin ne bhi sath silwat ka yahan bhi ishwa-e-rana khadi lagata hai wo bahr-e-husn hua aashna jo karwat ka hamari waza se aashufta ho gaya majnun hamein jo najd ke ban mein jinhon ne de patka nazar hui hai pareshan hijab mein hai wo rukh tilism khul nahin sakta hai un ke ghunghat ka kiya hai zulf-o-rukh-o-chashm ne jo sar-gashta nikal ke ghar se mera dil tirahe mein bhatka kise hai tab jo dekhe nigah-e-qahr-alud koi udhar ko chala aur koi idhar satka hamare ashk-e-musalsal zara nahin rukte ye ghat khub rawan ho raha hai panghat ka hamara rang-e-tabii hai sulh-e-kul mashrab pasand hum ko nahin qafiya bhi jhanjhat ka kahenge 'saqi'-e-sarmast sher-e-tar kya hum hamare hisse mein aaya hai jam talchhat ka