hijr ke mausam mein yaaden wasl ki raaton mein hain kuchh gile-shikwe yaqinan sab munajaton mein hain dhup ke mausam mein the payab dariya sab magar kaise kaise khushk manzar ab ke barsaton mein hain hain moattar ab bhi shamen teri khushbu ke tufail zau-fishan jugnu tere ab bhi meri raaton mein hain tishnagi sadiyon ki qurbat se na bujh pai meri log kitne mutmain thodi mulaqaton mein hain dusron ne apni taqdiron ke bal suljha liye zulf-e-pechan hum abhi uljhe teri baaton mein hain bas gae shahr-e-haqiqat mein wo jin ke dil nahin ahl-e-dil to ab bhi khwabon ke muzafaton mein hain aaj tutega yaqinan phir tilism-e-aina sare chehre mushtail hain sang sab hathon mein hain