mile bina hi bichhaDne ke Dar se lauT aae

mile bina hi bichhadne ke dar se laut aae
ajib khauf mein hum us ke dar se laut aae

na aise roiye nakaami-e-mohabbat par
khushi manaiye zinda bhanwar se laut aae

ye sochte hue baithe hain rah mein ruk kar
udhar to gae hi nahin the jidhar se laut aae

lab us ke samne the aur hum ne chuma nahin
samajh lo panw uthe aur dar se laut aae

abhi to waqt hai suraj ke dubne mein to phir
ye kya hua ki parinde safar se laut aae

kisi bhi tarah ye duniya na chhod pae hum
ki jab bhi nikle teri rahguzar se laut aae

phir us ne dekha koi tara tutte ek raat
phir ek roz musafir safar se laut aae

lagengi aur bhi tarkib us ko lane mein
koi zaruri hai samjhane bhar se laut aae

ye kis ki dhun thi jo diwar-o-dar na pahchana
ye kis khayal mein apne hi ghar se laut aae

mere guzarne ki afwah hi uda de koi
kise khabar ki wo jhuti khabar se laut aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close