hasad se dil agar afsurda hai garm-e-tamasha ho ki chashm-e-tang shayad kasrat-e-nazzara se wa ho ba-qadr-e-hasrat-e-dil chahiye zauq-e-maasi bhi bharun yak-gosha-e-daman gar aab-e-haft-dariya ho agar wo sarw-qad garm-e-khiram-e-naz aa jawe kaf-e-har-khak-e-gulshan shakl-e-qamri nala-farsa ho baham baalidan-e-sang-o-gul-e-sahra ye chahe hai ki tar-e-jada bhi kohsar ko zunnar-e-mina ho harif-e-wahshat-e-naz-e-nasim-e-ishq jab aaun ki misl-e-ghuncha saz-e-yak-gulistan dil muhayya ho bajae dana khirman yak-bayaban baiza-e-qumri mera hasil wo nuskha hai ki jis se khak paida ho kare kya saz-e-binish wo shahid-e-dard-agahi jise mu-e-dimagh-e-be-khudi khwab-e-zulekha ho dil-e-jun-shama bahr-e-dawat-e-nazzara layani nigah labrez-e-ashk o sina mamur-e-tamanna ho na dekhen ru-e-yak-dil sard ghair-az sham-e-kafuri khudaya is qadar bazm-e-'asad' garm-e-tamasha ho