nahin hone ka ye khun-e-jigar band na bandhi aastin aankhon pe tar band na puchho bebasi apna hai wo haal asir-e-rishta-bar-pa murgh-e-par band juda hota nahin pahlu se dam-bhar ye dagh-e-dil hai ya koi jigar-band kahin aisa na ho wo aa ke phir jae kisi shab band hon aankhen na dar band yahi qasid pata hai us ke ghar ka udhar ja jis taraf hai rahguzar band ye chausar ishq-bazi ki hai ai dil na chalna chaal wo jis se ho ghar band ijazat ek tadap ki de jo sayyaad qafas ko le uden hum murgh-e-par-band ye haal-e-na-tawani hai ki aankhen khulin jo ek dam to dopahar band nahin ye putliyan o chashm-e-fattan tere ghar mein hain do fitne nazar-band main ghabraata hun mahram se tumhaari khule dil ki girah kholo agar band dua ye mangta hun main shab-e-wasl qayamat tak rahi bab-e-sahar band khuda jaane kahan hun aur kya hun khule ahwal kya jab ho khabar band jo hath aaen use ye dana-e-ashk rahi musht-e-sadaf misl-e-guhar-band likhega haal-e-dil ai 'bahr' kab tak bas ab waifar laga maktub kar band