inqalab ek khwab hai so hai dil ki duniya kharab hai so hai rahiyo to yunhi mahw-e-araish bahar ek iztirab hai so hai tar hai dasht us ke aks-e-manzar se aur khud wo sarab hai so hai jo bhi dasht-e-talab ka hai pas-e-ru wahi zarrin-rikab hai so hai shaikh sahab liye phiren tegha barahman fath-yab hai sau hai dahr aashob hai sawalon ka aur khuda la-jawab hai so hai is shab-e-tira-e-hamesha mein raushni ek khwab hai so hai