main udas-raat ka chand hun ghane baadalon mein ghira hua meri tab ki ho khabar kise main rida-e-gham mein chhupa hua nahin phul main ki meri taraf kisi khush-nazar ki nigah ho main to ek zard sa pat hun kahin raste mein pada hua mujhe dar tha jis ka wahi hua meri aankh khulte hi jhad gaya teri palkon par mere wasl ka tha jo ek khwab saja hua meri dhadkanen thin badhi hui mere hont jaise sile hue main bayan haal na kar saka tere samne mujhe kya hua ye adawaton ki subuk hawa use sah sakun kahan hausla main wo ped hun ki mohabbaton ki faza mein phula-phala hua ye dayar-e-dil ye khandar sahi magar is ki raunaqen kam nahin yahan rang rang ke zakhmon ka shab-o-roz mela laga hua