khar-o-gul ka faisla hone ko hai nazm-e-gulshan ab naya hone ko hai zakhm phir bharne ko aae hain nadim koi taza hadsa hone ko hai khair-maqdam ki mere tayyariyan ab haram bhi mai-kada hone ko hai khairiyat guzre baruz-e-ehtisab un ka mera samna hone ko hai aashiyan se dur tutin bijliyan ab 'nisha' be-asra hone ko hai