hasil-e-zabt-e-fughan nakaam hai ab to khamoshi pe bhi ilzam hai koi aawaz-e-shikast-e-jam hai tauba tauba har taraf kohram hai ye bhi faiz-e-gardish-e-ayyam hai subh hai apni na apni sham hai dil hua tark-o-talab se be-niyaz ab yahan aaram hi aaram hai bahr-e-tufan-khez ka sahil kahan ishq ka aaghaz be-anjam hai ranj koi shai na koi shai khushi mukhtalif ehsas ka ek nam hai phir kisi ne aane ka wada kiya subh se phir intizar-e-sham hai shaeron mein yun to apna bhi 'figar' nam hai lekin barae nam hai