jis ki aankhon mein koi rang-e-shanasai na tha us se milne ka mera dil bhi tamannai na tha hum dayar-e-ghair mein kahte rahe hain dil ki baat ek apne shahr hi mein izn-e-goyai na tha jazba-e-dil ke bahak jaane se ruswa ho gae kucha-e-mahbub warna ku-ruswai na tha zulmat-e-shab ko jahan nur-e-sahar kahte the log mera sach kahna sazawar-e-pazirai na tha dad bhi deta na tha wo mere jazb-e-shauq ki khamushi aankhon mein lab par harf-e-goyai na tha teri be-mehri na thi kotahi-e-qismat bhi thi kar-zar-e-dil mein warna shauq-e-paspai na tha meri apni zat hi ek anjuman se kam na thi is liye 'sajjad' mujh ko khauf-e-tanhai na tha