jiwan tapti rit ka thal sone ka dhoka pital tera badan aur taj mahal sundarta ke do symbol duniya hai ek andha kuan chaaron or hai jal hi jal dhup ne jhanka khidki se mach gai kamre mein halchal pap dhulenge donon se madira ho ya ganga-jal dekh na bhaari patthar phenk dil hai nazuk shish-mahal 'raj' hamin ne chhalkaya apne lahu se jam-e-ghazal