hua sawal ki fariyaad ab nahin aati diya jawab teri yaad ab nahin aati zamin-e-sher mein go hal chalae jate hain magar dimagh ki wo khad ab nahin aati hai chand logon pe mauquf is liye khilqat jahan pe batta hai parshad ab nahin aati ifaqa hai unhen khujli se is liye hum ko pasand dad ki bedad ab nahin aati jo ek martaba phans kar nikal gai bulbul kabhi wo dam mein sayyaad ab nahin aati qafas ko tod ke tair nikal gaya hoga sada-e-nala-e-fariyaad ab nahin aati khizan-rasida hue ghar ba-faiz-e-nas-bandi bahaar-e-kasrat-e-aulad ab nahin aati na zauq-e-koh-kani hai na shauq-e-jaan-bazi sada-e-taisha-e-farhad ab nahin aati kabhi chale the take kos aaj motor hai jo ibtida thi kabhi yaad ab nahin aati