ho jaen kisi ke jo kabhi yar munafiq samjho ki hue hain dar-o-diwar munafiq ban jata hai kaise koi salar munafiq ye baat samajhne ko hai darkar munafiq mumkin tha kabhi un ko main khatir mein na lata hote jo muqabil mere do-chaar munafiq un ko kisi bazar se lana nahin padta yaron mein hi mil jate hain tayyar munafiq napaid hua jata hai ikhlas yahan par sardar munafiq hai sar-e-dar munafiq jo shakhs munafiq hai munafiq hi rahega ek bar munafiq ho ya sau bar munafiq sachchai zaban kat ke chup-chap khadi hai shohrat ki bulandi pe hain akhbar munafiq likkha hai munafiq ne munafiq ka fasana is waste rakkhe hain ye kirdar munafiq jis shahr ki buniyaad munafiq ne ho rakkhi qaem wahan ho jati hai sarkar munafiq mukhlis hain jo khul kar meri taid karenge bhadkenge ye sun kar mere ashaar munafiq 'danish' ye haqiqat hai bhale mano na mano ikhlas ka tai karte hain mear munafiq