husn ko shaklen dikhani aa gain shokhiyan le kar jawani aa gain sar mein sauda dil mein dard aaankhon mein ashk bastiyan hum ko basani aa gain jo bigad jata tha baaton par kabhi ab use baaten banani aa gain dil mein lakhon dagh raushan ho gae ishq ko shamen jalani aa gain barq-o-baran ke jilau mein badliyan sath le kar aag pani aa gain ai dil-e-rahat-talab hoshyar-bash saaten ab imtihani aa gain dil laga kar phans gae zahmat mein hum thin balaen jitni aani aa gain muskura dena qayamat ho gaya bijliyan tum ko girani aa gain dar rahe the jin se arbab-e-jahan wo balaen aasmani aa gain 'nuh' wo kahte hain phir tufan uthe quwwaten ab aazmani aa gain