hasr-afrin hai kucha-e-jaanana aaj-kal bahki hui hai khu-e-muhibbana aaj-kal phir bik rahi hai jins-e-wafa kaudiyon ke mol phir har wafa-shiar hai begana aaj-kal phir uth rahi hain dasht-o-bayaban ki raunaqen phir har junun-frosh hai farzana aaj-kal phir shola-kar hain chamanistan-e-lala-zar phir bijliyan hain raunaq-e-kashana aaj-kal phir har junun-sarisht khirad se hai bahra-war phir kho gaya taqaddus-e-virana aaj-kal har dil mein jalwa-rez hai phir jazba-e-khudi anqa hai etibar-e-mulukana aaj-kal phir mit gae dilon se junun-kar walwale phir be-nawa hain salma-o-rehana aaj-kal phir satgin undel ke saqi ne rakh diye uthti hai har nigah harisana aaj-kal afsana ban gai wo raqabat wo chashmaken dast-e-karam hai dast-e-harisana aaj-kal 'mazhar' hadis-e-dard hai apni har ek baat har ashk-e-gham hai ghairat-e-durdana aaj-kal