hasrat-e-faisla-e-dard-e-jigar baqi hai aur abhi silsila-e-sham-o-sahar baqi hai aaiye aur nazar se bhi zamana dekhen zindagi hai to mohabbat ki nazar baqi hai ya meri subh mein raunaq nahin hangamon ki ya meri sham ba-unwan-e-sahar baqi hai naujawani gai anfas ki khushbu na gai phul murjhae magar baad-e-sahar baqi hai kuch hi kuch hai har rang mein duniya ki hayat ek safar khatm hua ek safar baqi hai yaad-gar-e-harm-o-dair hai tuta hua dil shahr viran hua ek ye ghar baqi hai husn dilkash hai jahan tak hai tabassum ka sabaat ishq zinda hai agar dida-e-tar baqi hai be-mai-o-rang hai kashana-e-tahzib-e-jadid kuchh pas-e-parda nahin parda-e-dar baqi hai zindagi kya hai abhi tajraba karna hai 'nushur' shairi kya hai abhi naqd o nazar baqi hai