mere liye to harf-e-dua ho gaya wo shakhs sare dukhon ki jaise dawa ho gaya wo shakhs main aasman pe tha to zamin ki kashish tha wo utra zamin par to hawa ho gaya wo shakhs sochun bhi ab use to takhayyul ke par jalen mujh se juda hua to khuda ho gaya wo shakhs sab ashk pi gaya mere andar ka aadmi main khushk ho gaya hun hara ho gaya wo shakhs main us ka hath dekh raha tha ki dafatan simta simat ke rang-e-hina ho gaya wo shakhs yun bhi nahin ki pas hai mere wo ham-nafas ye bhi ghalat ki mujh se juda ho gaya wo shakhs padhta tha main namaz samajh kar use 'rashid' phir yun hua ki mujh se qaza ho gaya wo shakhs