kabhi tha ‘naqwi’-e-bekas bhi ek gulistan sa magar jo dekhiye ab to hua bayaban sa junun-e-ishq hai pariyan udae phirti hain dayar-e-shauq mein aashiq bhi hai sulaiman sa tumhaari tez nazar se khile dilon ke chaman tamam aalam-e-imkan hua namak-dan sa qafas ka dar jo khula bazuon mein zor nahin qafas-nasibon pe chhaya hai ab bhi zindan sa bahaar wo hai kali dil ki jis se ho khandan hua kare jo ye aalam hai ek bahaaran sa tumhein khabar hai ki dil par kisi ke kya guzri ba-rang-e-aina sakit hai aur hairan sa jo dekhe dagh mere dil ke rah gae shashdar samajh rahe the ki bas hoga ek charaghan sa khabar udi ki wo guzrenge mere kuche se tamam rah ka aalam tha nargisistan sa