kuchh to dekhen asar charagh chale bujh hi jae magar charagh jale muskura kar ye kis ne dekh liya rahguzar rahguzar charagh jale utni hi aur tirgi phaili shahr mein jis qadar charagh jale kaun jaane ki kin amiron par sham se ta-sahar charagh jale qabil-e-did hai ye aalam bhi is taraf dil udhar charagh jale sari basti dhuen mein dub gai shahr mein is qadar charagh jale 'shauq' aandhi hai aaj zoron par aaj har gam par charagh jale