hasrat hai tujhe samne baithe kabhi dekhun main tujh se mukhatib hun tera haal bhi puchhun dil mein hai mulaqat ki khwahish ki dabi aag mehndi lage hathon ko chhupa kar kahan rakkhun jis nam se tu ne mujhe bachpan se pukara ek umr guzarne pe bhi wo nam na bhulun tu ashk hi ban ke meri aankhon mein sama ja main aaina dekhun to tera aks bhi dekhun puchhun kabhi ghunchon se sitaron se hawa se tujh se hi magar aa ke tera nam na puchhun jo shakhs ki hai khwab mein aane se bhi khaif aaina-dil mein use maujud hi dekhun ai meri tamanna ke sitare tu kahan hai tu aae to ye jism shab-e-gham ko na saunpun