marna mariz-e-ishq ke haq mein shifa hua achchha hua najat mili kya bura hua rah-e-adam ki manzil-e-awwal mein kya hua jo aaya khak dal ke mujh par hawa hua nashtar ko dubne na diya ai rag-e-junun kya us ka ek qatra-e-khun mein bhala hua jis dil ke dagh se hamein thi chashm-e-raushni rahta hai wo to sham hi se khud bujha hua bas aisi chaarasazi se ai 'shauq' baz aae jis se ki dard aur bhi dil mein siwa hua