hasrat-o-ummid ka matam raha ye wo dil hai jo sada pur-gham raha ek na ek mujh par sada aalam raha main kabhi be-jaan kabhi be-dam raha meri qismat ki kaji ka aks hai ye jo barham gesu-e-pur-kham raha wo dil-e-gham-ghin hai mera gham-pasand gham ke jaane ka bhi jis ko gham raha dil ko har-dam ek pareshani rahi zulf-e-jaanan ki tarah barham raha wo namak-afshaniyan qatil ne kin zakhm-e-dil sharminda-e-marham raha badhte badhte ho gaya nasur dil khun ka qatra jo dil mein jam raha tha faqat ek gham madar-e-zindagi gham raha dil mein to wo bhi kam raha girya-o-zari yahi 'saqi' rahi dil ki hasrat ka sada matam raha