hasraten roti rahen dil mein mujawir ki tarah dil magar chup hi raha lauh-e-maqabir ki tarah khushk patton ki tarah chhut gae yaran-e-kuhan phir na palte kabhi patjhad ke musafir ki tarah aa teri mang mein kuchh ashk pirota jaun main to har chhanw se guzrunga muhajir ki tarah main hun ek naqsh-e-qadam dasht-e-faramoshi ka bhul jaoge mujhe tum bhi musafir ki tarah chaaragar dur na jaana kahin ji darta hai aaj ki raat hai gahri shab-e-akhir ki tarah dushman-e-mehr-o-wafa se koi karta hai nibah kaun chahega tujhe tere 'musawwir' ki tarah