mujh par junun-e-shauq ka kyun-kar asar ghalat gar ye ghalat to rah ghalat rahbar ghalat nazar aa gae wo aap hi dekha jo aaina samjhe the ishq hi ko mariz-e-nazar ghalat waraftagi-e-shauq sambhalne bhi de mujhe be-tabiyon ka wo na kahin len asar ghalat mat puchh wo nigahon se kya kuchh pila gae ab be-khudi-e-shauq mein baqi kasar ghalat 'faiq' gudaz-e-dil hai mohabbat mein asl shai ye sail-e-ashk-e-kham ye daman-e-tar ghalat