hasti-e-haq ke maani jo mera dil samjha

hasti-e-haq ke ma'ani jo mera dil samjha
apni hasti ko ek andesha-e-baatil samjha

wo shanawar hun jo har mauj ko sahil samjha
wo musafir hun jo har gam ko manzil samjha

kafiri sehr na thi 'ishq-e-butan khel na tha
ba-khuda main to isi se use mushkil samjha

utra dariya mein pa-e-ghusl jo wo ghairat-e-gul
shor-e-amwaj ko main shor-e-anadil samjha

kufr-o-islam ki tafriq nahin fitrat mein
ye wo nuqta hai jise main bhi ba-mushkil samjha

shaikh ne chashm-e-hiqarat se jo dekha mujh ko
ba-khuda main use allah se ghafil samjha

na kiya yar ne 'akbar' ke junun ko taslim
mil gai aankh to kuchh soch ke ‘aqil samjha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close