in dinon yar ke kuchh zehn-nashin aur bhi hai

in dinon yar ke kuchh zehn-nashin aur bhi hai
jaanta hai ki nashist un ki kahin aur bhi hai

ek dil tha so diya aur kahan se laun
jhuth kahiye to main kah dun ki nahin aur bhi hai

naz-e-beja na kiya kijiye hum se itna
isi andaz ka ek yar-e-hasin aur bhi hai

kahiyo us ghairat-e-laila se ye paigham saba
pahlu-e-qais mein ek dasht-nashin aur bhi hai

mere bulwane ka ehsan jatao na bahut
mehrban ek but-e-parda-nashin aur bhi hai

in radifon mein ghazal kyon na ho dushwar 'akbar'
na-tarashida koi aisi zamin aur bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close