hasti-e-nist-numa dida-e-hairan samjha tujh ko dauran-e-baqa khwab-e-pareshan samjha kufr-o-iman ka ajab rang hai nairangi mein ye wo nairang hai kafir na musalman samjha laili-e-shokh-ada ain-e-tasawwur jo bani qais ko daman-e-sahra mein huda-khwan samjha wusat-e-mashrab-e-rindan ka nahin hai mahram zahid-e-sada hamein be-sar-o-saman samjha rang-e-fitrat ne banaya hai jo majzub-e-qimash manzar-e-alam-e-nairang-e-bayaban samjha salik-e-rah-e-talab aap hue rah-e-ghalat jada-e-manzil-e-dushwar ko aasan samjha jam-e-sarshaar se masrur rahega 'saqi' tera mastana bhi ai saqi-e-dauran samjha