ishq mein hijr ke sadme bhi uthae nahin hain apni marzi se to hum dasht mein aae nahin hain apna kasa bhi tahi apna kadu bhi khali dagh-e-didar-o-hawas dil pe lagae nahin hain hum se mayus na ho sham-e-shabistan-e-khayal hum abhi khak ke sine mein samae nahin hain ab kisi samt se khushbu nahin aati hum tak kaghzi phul bhi taqon mein sajae nahin hain ek dukan khol ke bazar ka rukh dekhna hai abhi aain tijarat ke banae nahin hain hurmat-e-harf ki tafsir banane walo hum kisi aur sitare se to aae nahin hain