hasti hai adam meri nazar mein sujhi hai ye ek umr bhar mein o aankh chura ke jaane wale hum bhi the kabhi teri nazar mein phailati hai panw hasrat-e-did thandak jo mili hai chashm-e-tar mein koi na hijab kaam aaya dekha to wo the meri nazar mein kam-zarf the sare ghuncha o gul kya phule hain ek musht-e-zar mein itna bhi na ho koi haya-dar dekha to sama gae nazar mein tare ye nahin hain aakhir-e-shab kuchh phul hain daman-e-sahar mein hai umr-e-rawan ka shama mein rang ghar baithe guzarti hai safar mein duniya hai 'jalil' hath uthae baithe hain kisi ki rahguzar mein