naqab chehre se wo shoala-ru utha leta to chashm-e-bad ko main aankhon ka til jala leta jo us ke khak-e-kaf-e-pa bhi milte ham-chashmo to rah par use main surma sa laga leta jo in labon se na hota mushabah aab-e-hayat khizar na chhod sikandar ko rasta leta hue na the jo abhi saf pech zulfon ki bala se panja-e-mizhgan hi wo lada leta jo mujh se hote wo be-parda bad nazar ke liye nazar ki tarah se aankhon mein main chhupa leta