phul kitaben le ja tanha rahne de mera kamra, mera kamra rahne de yar ye chaar qadam ki kya hamrahi hai! thodi der to dil ko chalta rahne de ab bhi us se titli milne aati hai balcony mein tuta gamla rahne de kat de chahe meri sari shakhon ko jis par jhul raha hai jhula, rahne de wo to dil tha lekin ye to bagh hai yar ped pe mera nam to likkha rahne de mujh ko aazadi ka kuchh ehsas to ho is pinjre mein ek parinda rahne de