hate ye aaina mahfil se aur tu aae koi to ho jo kabhi dil ke ru-ba-ru aae mere lahu se agar ho ke surkh-ru aae malo to barg-e-hina mein wafa ki bu aae wo aansuon ki safai se bad-guman hain abas dil-o-jigar mein raha kya hai jo lahu aae shab-e-visal bhi ta-subh mutmain na raha abhi thi raat ki paigham-e-arzu aae bayan-e-barq-e-tajalli chhuda hai ab sar-e-tur ajab nahin mere dil ki bhi guftugu aae visal-o-hijr mein chhupta hai dil ka haal kahin bujhe to pyas siwa ho jale to bu aae jo mai ke dene mein pir-e-mughan ko tha inkar dilon ko todne kyun shisha-o-subu aae ajab hai utre dam-e-zabh un ki aankh mein khun katin kahan ki ragen aur kahan lahu aae kiya sawal to us dar se ye sada aai use jawab hai jo le ke aarzu aae jahan mein hain subuk-bar kab shagufta-mizaj chaman ke phul liye bar-e-rang-o-bu aae meri zaban ko kanta samajhta hai sayyaad nikal le ki na ye ho na guftugu aae jhatak rahi hai mera khun apne daman se tumhaari tegh hai phir kya wafa ki bu aae madad de itni tadapne mein inqilab-e-jahan jo mere dil mein nihan hai wo ru-ba-ru aae badha badha ke mera dil lagaiye talwar jagah jafa ki siwa ho agar numu aae