phul mahkae the main ne shadmani ke liye har nafs ab mar rahi hon zindagani ke liye kis tarah kaliyan khilen aur kis tarah mahken gulab tang ho jae zamin jab baghbani ke liye sabr ki had se guzar jati hai sahraon ki pyas khushk ho jata hai jab dariya hi pani ke liye us ki chahat us ki qurbat us ki baaten us ki yaad kitne unwan mil gae hain ek kahani ke liye us liye hum ko nahin bakhsha gaya koi makan kyunki hum paida hue the be-makani ke liye talkhiyon se waqt ki jo ho gae nashtar-sifat lab the wo mashhur apni khush-bayani ke liye waqt ke jalte hue suraj ki tapti dhup mein is ki yaadon ke shajar hain saebani ke liye shairi ki barishon mein bhige bhige tere lab rab ka hai inam 'mina' be-zabani ke liye