jala hai kis qadar dil zauq-e-kawish-ha-e-mizhgan par ki sau sau nashtaron ki nok hai ek ek rag-e-jaan par pada hoga magar aks-e-ezar-e-lala-gun warna ye gustakhi hamara khun aur qatil ke daman par tariq-e-ishq mein hai ranj pahle aur khushi pichhe madar-e-subh roz-e-wasl hai ek sham-e-hijran par meri diwangi roz-e-qayamat mere kaam aai qalam rahmat ka khincha us ne aakhir mere isyan par agar un ke taghaful ko hai dawa apni tamkin ka hamari khud-faramoshi ko hai naz apne nisyan par